ye ḳhāmoshī mire kamre meñ kis āvāz kī hai
kahīñ yuuñ to nahīñ tū baat karnā chāhtī hai
vo kyā shai hai jise maiñ DhūñDtā huuñ ḳhud se bāhar
yahīñ ghar meñ koī ik shai bhulā rakkhī huī hai
maiñ tanhā.ī ko apnā ham-safar kyā maan baiThā
mujhe lagtā hai mere saath duniyā chal rahī hai
kabhī dīvār lagtī hai mujhe ye saarī vus.at
kabhī dekhūñ isī dīvār meñ khiḌkī khulī hai
utarte jā rahe haiñ rañg dīvāroñ se saanī
ye parchhā.īñ sī kyā shai hai jo in par reñgtī hai