Mahender Kumar Sani

kinare toD ke bahar nikal gaya dariya

Mahender Kumar Sani

Faizabad, Uttar pradesh, India

1984
kināre toḌ ke bāhar nikal gayā dariyā
lakīr chhoḌ ke ye kis taraf chalā dariyā
ab is se pahle samundar se jā ke mil paatā
ḳhud apnī pyaas meñ hī ġharq ho gayā dariyā
mire badan kā samundar to ḳhushk hotā gayā
ravāñ davāñ hī rahā merī soch kā dariyā
use kabhī na samundar kī justujū hotī
tahoñ meñ apnī utar kar jo dekhtā dariyā
ḳhulūs hai ye to us kā kahāñ kī majbūrī
rihā.ī kā hai samundar ko rāsta dariyā
use maiñ duur hī se dekhtā rahā 'sānī'
jo aaj paanī meñ utrā huuñ to khulā dariyā
Top Urdushayar.com