barf ke phuul khile dhuup ke daane nikle
ab ke mausam meñ sabhī ḳhvāb suhāne nikle
phir mirī yaad tujhe chain na lene degī
phir tirī bazm meñ mere hī fasāne nikle
do qadam baḌhte hī ḳhud apnā patā kho baiThe
jab bhī ham tujh ko tirī yaad dilāne nikle
un ko har moḌ pe ḳhushiyoñ ke dafīne hī mile
mere hisse meñ faqat ġham ke ḳhazāne nikle
merā jaltā huā ghar dekh ke ham-sā.e mire
ghar se nikle to magar ashk bahāne nikle
zindagī tū ne hameñ aur bhī maqrūz kiyā
jab bhī ham log tirā qarz chukāne nikle