B S Jain Jauhar

ghaTa sawan ki umDi aa rahi hai

B S Jain Jauhar

Meerut, Uttar pradesh, India

1927
ghaTā sāvan kī umDī aa rahī hai
payām-e-ashk bhar bhar lā rahī hai
ragoñ meñ ḳhuun gardish kar rahā hai
javānī sāz-e-dil par gā rahī hai
rulātā hai unheñ bhī kyā ye sāvan
mujhe kaalī ghaTā taḌpā rahī hai
tarannum-ḳhez jamunā ke kināre
kisī kī yaad paiham aa rahī hai
ye āḳhir kaun hai jo chup khaḌā hai
nazar har baar dhokā khā rahī hai
ham apne dil kā dukhḌā ro rahe haiñ
tumhārī aañkh jhapkī jā rahī hai
tum apne dhyān meñ Duubī huī ho
tumhārī oḌhnī lahrā rahī hai
mirī be-ḳhvāb āñkhoñ ko mubārak
ki āḳhir maut kī niiñd aa rahī hai
Top Urdushayar.com