jaane phir tum se mulāqāt kabhī ho ki na ho
khul ke dukh-dard kī kuchh baat kabhī ho ki na ho
phir hujūm-e-ġham-o-jazbāt kabhī ho ki na ho
tum se kahne ko koī baat kabhī ho ki na ho
aaj to ek hī kashtī meñ haiñ mañjdhār meñ ham
phir ye majbūri-e-hālāt kabhī ho ki na ho
ahd-e-māzī ke fasāne hī sunā leñ tum ko
itnī ḳhāmosh koī raat kabhī ho ki na ho
jo jalātā hai mire ġham ke añdheroñ meñ charāġh
mere hāthoñ meñ vahī haat kabhī ho ki na ho