tamām raat chhatoñ par baras gayā paanī
saverā hote hī bastī meñ bas gayā paanī
piyā kī bāñhoñ meñ dulhan ko kas gayā paanī
añdherī raat meñ birhan ko Das gayā paanī
baḌā hī naaz thā apnī ḳhunuk-mizājī par
zamīñ ke tapte tave par jhulas gayā paanī
vo nāptā rahā dhartī ke sab nasheb-o-farāz
fareb-e-rāhat-e-māñdan meñ phañs gayā paanī
nahāne aa.ī thī ganda hai kah ke lauT ga.ī
kisī ko chhūne kī ḳhātir taras gayā paanī