B S Jain Jauhar

kaifiyat-e-dil-e-hazin humse nahin bayan hui

B S Jain Jauhar

Meerut, Uttar pradesh, India

1927
kaifiyat-e-dil-e-hazīñ ham se nahīñ bayāñ huī
lafz na saath de sake āñsuoñ se ayaañ huī
shorish-e-vārdāt-e-qalb sheroñ meñ Dhaal Dhaal kar
likhte rahe tamām umr ḳhatm na dāstāñ huī
ab na vo dil meñ dhaḌkaneñ ab na vo soz-o-sāz hai
pūchhte haiñ vafāt-e-dil kaise huī kahāñ huī
merī zarā sī baat par jaane vo kyuuñ ḳhafā huī
koī na talḳh guftugū donoñ ke darmiyāñ huī
ghar to hazāroñ ban ga.e īñToñ ko joḌ joḌ kar
ghar ke makīnoñ kī vafā zīnat-e-āshiyāñ huī
sūrat thī vo ki barq sī badliyoñ kī thī oT meñ
pardoñ se jhāñk jhāñk kar pardoñ meñ hī nihāñ huī
ek hī shāḳh par rahe baaḌh meñ saañp aur aadmī
kaisī ajiib dostī donoñ ke darmiyāñ huī
Top Urdushayar.com