Naz Qadri

gunah-gar-e-wafa laeq-e-saza likh do

Naz Qadri

Muzaffarpur, Bihar, India

1940-2019
gunāh-gār-e-vafā lā.eq-e-sazā likh do
mire ḳhilāf zamāne kā faisla likh do
ghirī hai dā.era-e-karb-e-āgahī meñ hayāt
isī hisār meñ rahne kā hausla likh do
har ek lamha hai nok-e-sināñ pe sar apnā
mujhe sitam-zada-e-jazba-e-anā likh do
maiñ dūsroñ se bhī kuchh dād-e-zabt-e-ġham pā.ūñ
har ek lab pe mire dil kā mudda.ā likh do
fanā ke dasht meñ rahte hue zamāna huā
mire junūñ ko sar-e-vādī-e-baqā likh do
khulā mire liye bāb-e-asar nahīñ na sahī
mire laboñ pe koī be-asar duā likh do
navāh-e-jāñ meñ kabhī to bahār aa.egī
kabhī to badlegī is dasht kī fazā likh do
urūs-e-fikr kī saada hatheliyoñ ke naam
tamām rañg-e-shafaq surḳhī-e-hinā likh do
tumhāre hāthoñ meñ shā.ir kā hai qalam ai 'nāz'
kitāb-e-dil pe mohabbat kā hāshiya likh do
Top Urdushayar.com