rahā vo shahr meñ jab tak baḌā dabañg rahā
magar ḳhud apne ḳhilāf aap mahv-e-jañg rahā
huī jo sub.h to be-barg-o-bār the ashjār
tamām raat havā kā ajiib rañg rahā
anā pasand thā baisākhiyoñ ko chhūtā kyuuñ
rahā vo sarkash-o-bāġhī magar apang rahā
ba-juz darīd-o-burīd aur kyā hai us kā ma.aal
vo phir bhī Dor se TuuTī huī patañg rahā
siyah jazīra samundar meñ āftāb-ba-dast
zamīñ se TuuT gayā aur zamīñ kā añg rahā
diyā hai us ne hameñ ek shor-e-be-āhañg
hazār saal jo daur-e-rabāb-o-chang rahā
ye aa.ina rahā ḳhatt-e-shikast se mahrūm
'salīm' mahv-e-ġham-e-intizār-e-sañg rahā