bāl-o-par hoñ to fazā kaafī hai
varna parvāz-e-anā kaafī hai
ham gumāñ-gasht parindoñ ke liye
āsmāñ bhī ho to nā-kāfī hai
is ḳhudā.ī se nahīñ koī ġharaz
ham ko bas nām-e-ḳhudā kaafī hai
ye jo ik harf-e-duā hai lab par
nā-rasā ho ki rasā kaafī hai
kuchh nahīñ zaat ke sahrā meñ magar
muntashir hone ko jā kaafī hai
zard patte meñ koī nuqta-e-sabz
apne hone kā patā kaafī hai