kisī rut meñ jab muskurātā hai tū
numū pattharoñ meñ jagātā hai tū
tirā sho.ala-e-nutq rūh-e-ravāñ
ufuq-tā-ufuq phail jaatā hai tū
kabhī kholtā hai samundar ke raaz
kabhī ek qatra chhupātā hai tū
kabhī ġharq kar de safīne hazār
kabhī ek kashtī tarātā hai tū
kabhī phūñk de vādi-e-gul tamām
kabhī aag meñ gul khilātā hai tū
kabhī sharh-e-lā-taqnatū ke liye
sarāboñ meñ dariyā bahātā hai tū
gavārā nahīñ tujh ko vīrāniyāñ
ḳharāboñ ko phir se basātā hai tū
siyah saḳht maujoñ ke aaseb meñ
jazīre dhanak rañg ugātā hai tū
tire izn se andhī ā.ankhoñ meñ nuur
kabhī ḳhaak meñ ram jagātā hai tū
kiran bhej kar ek zulmāt kī
shahanshāhoñ ko zalzalātā hai tū
ujāloñ meñ haiñ terī rañgīniyāñ
añdheroñ meñ sham.eñ jalātā hai tū