Saleem Shahzad

sadiyon ke rang-o-bu ko na DhunDo guphaon mein

Saleem Shahzad

Dhule, Maharashtra, India

1949
sadiyoñ ke rañg-o-bū ko na DhūñDo guphāoñ meñ
aao kisī se pūchho pata un kā gaañv meñ
ghabrā ke bulbule ne samundar kī zaat se
phailā diyā vajūd ko saarī dishāoñ meñ
āvāz ḳhud ko do to mile kuchh javāb bhī
āḳhir pukārte ho kise tum ḳhalāoñ meñ
DhūñDo to devtāoñ ke ādarsh haiñ bahut
par aadmī kā rañg kahāñ devtāoñ meñ
jogī ko aaj ruup kā vardān mil gayā
Thahrā jo do ghaḌī tire pīpal kī chhāñv meñ
thā naaz mujh ko jis kī shanāsā.ī par vahī
phailā rahā hai zahr mire āshnāoñ meñ
aaseb hasratoñ kā unheñ khaa.e hai 'salīm'
kaTtī thī jin kī raat kabhī apsarāoñ meñ
Top Urdushayar.com