Saleem Shahzad

rang tabir ka TuTe hue KHwabon mein nahin

Saleem Shahzad

Dhule, Maharashtra, India

1949
rañg ta.abīr kā TuuTe hue ḳhvāboñ meñ nahīñ
chhāñv kā lams kahīñ jaise sarāboñ meñ nahīñ
kar diyā sāhir-e-tahzīb ne patthar in ko
chehre lamhoñ ke vo resham kī naqāboñ meñ nahīñ
aa ke sāhil pe havas ke na yuuñ maujoñ se Daro
rañg gahrā.ī meñ pāoge habāboñ meñ nahīñ
añg añg us kā thā ik niile nashe meñ Duubā
abadī kaif vo botal kī sharāboñ meñ nahīñ
merī ik baat pe kiiñ us ne hazāroñ bāteñ
husn-e-maqsūd magar us ke javāboñ meñ nahīñ
ab to aaseb musallat hai yahāñ hasrat kā
aas kī koī parī dil ke ḳharāboñ meñ nahīñ
us se Takrā ke bikharne meñ jo lazzat hai 'salīm'
is qadar hazz-e-shikast aur azāboñ meñ nahīñ
Top Urdushayar.com