ret par mujh ko gumāñ paanī kā thā
sabr merā imtihāñ paanī kā thā
sab junūn-o-azm kāġhaz kashtiyāñ
sāmnā jab be-karāñ paanī kā thā
sañg-e-sahrā meñ thī dariyā kī numūd
sañg-e-sahrā meñ ziyāñ paanī kā thā
yuuñ milī sailāb meñ jā-e-panāh
sar pe mere sā.ebāñ paanī kā thā
aag bhī barsī daraḳhtoñ par vahīñ
kaal bastī meñ jahāñ paanī kā thā
ik sunahrī fāḳhta thī par-kushā
jab ye be-samt āsmāñ paanī kā thā