Saleem Shahzad

han kahin jugnu chamakta tha chalo wapas chalo

Saleem Shahzad

Dhule, Maharashtra, India

1949
haañ kahīñ jugnū chamaktā thā chalo vāpas chalo
in surañgoñ meñ añdherā hai to ho vāpas chalo
ham ko har andhe kī fahm-e-manzilat kā hai shu.ūr
kah rahā hai qāfile vāloñ se jo vāpas chalo
us taraf ke qahqahoñ kā raaz kuchh khultā nahīñ
is liye apne hī mātam-zār ko vāpas chalo
vāpsī ke rāste masdūd ho jaane se qabl
kis liye tum ho asīr-e-gomago vāpas chalo
kab tak in āvāra maujoñ kā tamāshā dekhnā
gin chuke ho sā.atoñ ke taar to vāpas chalo
khel kā stage ḳhālī hai to kis kā intizār
jaane kab kā ho chukā hai ḳhatm show vāpas chalo
peshtar is ke ki apnī dāstāneñ bhuul jaao
shahr-e-afsūñ meñ bhaTakte rāvi.yo vāpas chalo
aao ab chal kar zarā ghar meñ jalāte haiñ charāġh
chādar-e-zulmat utarne ko hai so vāpas chalo
Top Urdushayar.com