karbalā kā rāsta raushan huā
phir lahū kā ma.arka raushan huā
kaun thā āḳhir vo jis kī zaat se
zindagī kā zāviya raushan huā
jazba-e-īsār-o-qurbānī ke naam
ḳhāk-o-ḳhūñ kā silsila raushan huā
baare tujh pe ai furāt-e-be-karāñ
tishnagī kā martaba raushan huā
munhadim hone lagī dīvār-e-jāñ
jism kā zulmat-kada raushan huā
qadġhaneñ jitnī lagā.īñ vaqt ne
dil-zadoñ kā hausla raushan huā
'nāz' kā āhañg-e-tāza dekhnā
fikr-o-fan kā dā.era raushan huā