lagtā hai vo aaj ḳhvāb jaisā
ik shaḳhs khulī kitāb jaisā
kyā is meñ hai mauj-e-āb jaisā
be-lams hai vo sarāb jaisā
har shaḳhs pe saañp reñgtā hai
hai zor-e-havas azaab jaisā
har shaḳhs ko rañj-e-nā-tamāmī
qisse ke adhūre baab jaisā
bātoñ meñ hai us kī zahr thoḌā
thoḌā sā mazā sharāb jaisā
maiñ aks huuñ aur ā.īna vo
rishta hai sarāb o aab jaisā