Saleem Shahzad

shahryaron ne dikhain mujhko taswiren bahut

Saleem Shahzad

Dhule, Maharashtra, India

1949
shahryāroñ ne dikhā.īñ mujh ko tasvīreñ bahut
terī bastī tak milīñ raste meñ jāgīreñ bahut
nazr-e-ātish kar rahe ho aaj par kal dekhnā
in sahīfoñ kī likhī jā.eñgī tafsīreñ bahut
aaj bhī mere liye mashkūk hai terā lagāv
pattharoñ pe naqsh dekhīñ maiñ ne tahrīreñ bahut
saat rañgoñ meñ baTī ho jaise sūraj kī kiran
ḳhvāb dekhā ek, dekhīñ us kī ta.abīreñ bahut
ab bichhaḌ kar phir rahī hai ban kī devī bad-havās
mujh se vahshī ke liye tarsī thiiñ zanjīreñ bahut
un ko fursat hī na mil paa.ī ki suljhā.eñ ye jaal
ḳhatm ho kar rah ga.iiñ hāthoñ meñ taqdīreñ bahut
vo kisī pahlū mujhe qātil na lagtā thā 'salīm'
yuuñ to thiiñ ārā.ish-e-dīvār shamshīreñ bahut
Top Urdushayar.com