phir na aa.egā ye lamha soch le
sāmne bahtā hai dariyā soch le
kashtiyoñ ko phūñk kar aage na baḌh
Duub jā.egā jazīra soch le
dekh kar us ko nihattā ḳhush na ho
tajraba pahlā hai terā soch le
apne shīshe ke paroñ kā kar ḳhayāl
ruḳh nahīñ achchhā havā kā soch le
rishta-e-āb-o-sarāb ik ḳhvāb hai
tū bhī saaya maiñ bhī saaya soch le
an-kahī kah an-sunī bāteñ sunā
rah gayā jo kuchh bhī sochā soch le