Naz Qadri

hadisa aisa bhi zer-e-asman hona hi tha

Naz Qadri

Muzaffarpur, Bihar, India

1940-2019
hādisa aisā bhī zer-e-āsmāñ honā hī thā
barg-e-gul ko ḳhaak sho.ale ko dhuāñ honā hī thā
talḳh jitnī ho haqīqat ko ayaañ honā hī thā
zindagī ko saat pardoñ meñ nihāñ honā hī thā
jo na sunñā thā vo afsāna bayāñ honā hī thā
ya.anī apnī koshishoñ ko rā.egāñ honā hī thā
reza reza TuuT kar bikhre dar-o-dīvār-e-dil
lamha lamha ḳhāna-e-jāñ kā ziyāñ honā hī thā
sā.at-e-be-mehr merī zindagī ko Das ga.ī
lamha-e-saffāk ko mujh par ayaañ honā hī thā
vaqt se pahle havā ne kaan meñ kuchh kah diyā
fasl-e-gul ke aate hī dil kā ziyāñ honā hī thā
jāntā huuñ naaz phir bhī sabr kī tāqat nahīñ
bāġh-e-dil ko ek din nazr-e-ḳhizāñ honā hī thā
Top Urdushayar.com