Rasheed Nisar

zat ke kamre mein baiTha hun main khiDki khol kar

Rasheed Nisar

zaat ke kamre meñ baiThā huuñ maiñ khiḌkī khol kar
ḳhud ko maiñ bahlā rahā huuñ apne muñh se bol kar
sirf hoñToñ kā tabassum ziist kā gulzār hai
ab na duniyā ko dikhā ashkoñ ke motī rol kar
lafz kī nāzuk sadā par zindagī kā bojh hai
baat bhī duniyā ḳharīde is jahāñ meñ tol kar
ik jagah Thahre hue haiñ sab purāne vāste
apnī sochoñ ke mutābiq ziist kā māhaul kar
rāsta tārīk jiine kī ziyā bārīk hai
rah na jaa.eñ chalte chalte tere paañv Dol kar
Top Urdushayar.com