Rasheed Nisar

main chob-e-KHushk sahi waqt ka hun sahra mein

Rasheed Nisar

maiñ chob-e-ḳhushk sahī vaqt kā huuñ sahrā meñ
sahar pukārtī mujh ko to saath chaltā maiñ
mire vajūd meñ zinda sadī kā sannāTā
tah-e-zamīñ huuñ koī boltā sā dariyā maiñ
har ek zāviya mere lahū ke naam se hai
batā rahā huuñ na.ī vus.atoñ ko rastā maiñ
bahut se log to jiite hī jī ke marte haiñ
bas ek shaḳhs ki martā huuñ roz tanhā maiñ
tū aa.ina hai tirī zaat ajnabī to nahīñ
qarīb aa tujhe apnā dikhā.ūñ chehra maiñ
ye is takalluf-e-bejā kī kyā zarūrat hai
ki ek mish.al-e-jāñ thā ḳhushī se jaltā maiñ
na jaane kaun thā dasht-e-azal-abad meñ 'nisār'
jo apne aap se miltā to kyuuñ bichhaḌtā maiñ
Top Urdushayar.com