dariyā ko apne paañv kī kashtī se paar kar
maujoñ ke raqs dekh le ḳhud ko utaar kar
sūraj tire tavāf ko niklegā rāt-din
tū aap vaqt hai tū na lamhe shumār kar
hābīl terī zaat meñ qābīl hai magar
apne lahū ko bech de ḳhvāhish ko maar kar
ashkoñ ke diip bik ga.e bāzār meñ to kyā
ahd-e-garāñ meñ apne pasīne se pyaar kar
ik aur karbalā hai tire dar ke sāmne
apne lahū ko jiit le baazī ko haar kar
ik nasl kā vajūd lahū ke numū meñ hai
kuchh der ḳhvāb dekh zarā intizār kar