koī to hai ki na.e rāste dikhā.e mujhe
havā ke dosh pe aa.e ġhazal sunā.e mujhe
kise ḳhabar hai ki jiitā huuñ jāgtā huuñ maiñ
vo ek shaḳhs har ik moḌ par bachā.e mujhe
larazte paañv bhī mere asā-ba-dast bhī maiñ
vo bāzuoñ pe uThā.e kabhī chalā.e mujhe
hai us ke naam kī maalā mire laboñ kā subū
maiñ us ko sher sunā.ūñ vo gungunā.e mujhe
vo aa.ina hai to aks-e-sahr huuñ maiñ lekin
vo apne aap ko dekhe kabhī sajā.e mujhe
dukhoñ ke sard nivāle ġhamoñ kī garm zabāñ
hañsī hañsī meñ chhupā.e kabhī dikhā.e mujhe