sarhad-e-jism pe hairān khaḌā thā maiñ bhī
apne hī saath sar-e-dār laḌā thā maiñ bhī
vāsta mujh ko samar se thā na tarġhīb se thā
nīm-vā hāthoñ meñ miTTī kā ghaḌā thā maiñ bhī
rauzan-e-vaqt meñ damdār sadā thī kis kī
saañp kī raah meñ gaThrī meñ paḌā thā maiñ bhī
us ke siine meñ jahannam thā lahū bhī lekin
ek suulī kī tarah saath gaḌā thā maiñ bhī
kurra-e-arz pe nuqte kā nishāñ thā varna
apne saa.e kī zaḳhāmat se baḌā thā maiñ bhī
log āvezish-e-taqrīb meñ kis ko rote
ziist kā kos to thā is se gaḌā thā maiñ bhī
kitnī tārīk shuāoñ se lahū bhī Tapkā
terī āñkhoñ meñ sar-e-shām jaḌā thā maiñ bhī