savād-e-shām pe sūraj utarne vaalā hai
Thahar bhī jā ki ye manzar ubharne vaalā hai
mileñge daaġh sitāre charāġh-e-shabam bhī
ġhamoñ kī raat kā chehra nikharne vaalā hai
chalo julūs kī sūrat meñ zindagī vaalo
zarā sī der meñ lamha guzarne vaalā hai
koī to dahr meñ zinda rahe ḳhudāvandā
tire jahān meñ insān marne vaalā hai
vo apnī zaat ke manshūr ke tanāzur meñ
ik ehtimām se elaan karne vaalā hai
'nisār' ziist ke dozaḳh meñ jī rahā hai magar
vo apnī aag ke sho.aloñ se Darne vaalā hai