jo salīb-e-shab pe gūñje vo sadā kahiye mujhe
ye sitam kaisā ki sāz-e-be-navā kahiye mujhe
be-karāñ vus.at meñ huuñ maiñ TūTte tāroñ kī chīḳh
haañ kisī darmāñda rah-rav kī duā kahiye mujhe
merā har shīrāza barham ho gayā lamhoñ ke saath
muntashir aurāq kā ik silsila kahiye mujhe
sub.h se ab tak rahā maiñ saath us ke lekin ab
shaam ke jañgal meñ gum hotā huā kahiye mujhe
'nāz' maiñ bhī ātishīñ jazbāt rakhtā thā kabhī
ab ḳhunuk rātoñ kī barfīlī havā kahiye mujhe