Faiz Ahmad Faiz

ab wahi harf-e-junun sab ki zaban Thahri hai

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
ab vahī harf-e-junūñ sab kī zabāñ Thahrī hai
jo bhī chal niklī hai vo baat kahāñ Thahrī hai
aaj tak shaiḳh ke ikrām meñ jo shai thī harām
ab vahī dushman-e-dīñ rāhat-e-jāñ Thahrī hai
hai ḳhabar garm ki phirtā hai gurezāñ nāseh
guftugū aaj sar-e-kū-e-butāñ Thahrī hai
hai vahī āriz-e-lailā vahī shīrīñ kā dahan
nigah-e-shauq ghaḌī bhar ko jahāñ Thahrī hai
vasl kī shab thī to kis darja subuk guzrī thī
hijr kī shab hai to kyā saḳht girāñ Thahrī hai
bikhrī ik baar to haath aa.ī hai kab mauj-e-shamīm
dil se niklī hai to kab lab pe fuġhāñ Thahrī hai
dast-e-sayyād bhī aajiz hai kaf-e-gul-chīñ bhī
bū-e-gul Thahrī na bulbul kī zabāñ Thahrī hai
aate aate yūñhī dam bhar ko rukī hogī bahār
jaate jaate yūñhī pal bhar ko ḳhizāñ Thahrī hai
ham ne jo tarz-e-fuġhāñ kī hai qafas meñ ījād
'faiz' gulshan meñ vahī tarz-e-bayāñ Thahrī hai
Top Urdushayar.com