har samt pareshāñ tirī aamad ke qarīne
dhoke diye kyā kyā hameñ bād-e-saharī ne
har manzil-e-ġhurbat pe gumāñ hotā hai ghar kā
bahlāyā hai har gaam bahut dar-ba-darī ne
the bazm meñ sab dūd-e-sar-e-bazm se shādāñ
be-kār jalāyā hameñ raushan-nazrī ne
mai-ḳhāne meñ aajiz hue āzurda-dilī se
masjid kā na rakkhā hameñ āshufta-sarī ne
ye jāma-e-sad-chāk badal lene meñ kyā thā
mohlat hī na dī 'faiz' kabhī baḳhiya-garī ne