ġham-ba-dil shukr-ba-lab mast o ġhazal-ḳhvāñ chaliye
jab tilak saath tire umr-e-gurezāñ chaliye
rahmat-e-haq se jo is samt kabhī raah mile
sū-e-jannat bhī ba-rāh-e-rah-e-jānāñ chaliye
nazr māñge jo gulistāñ se ḳhudā-vand-e-jahāñ
sāġhar-e-mai meñ liye ḳhūn-e-bahārāñ chaliye
jab satāne lage be-rañgi-e-dīvār-e-jahāñ
naqsh karne koī tasvīr-e-hasīnāñ chaliye
kuchh bhī ho ā.īna-e-dil ko musaffā rakhiye
jo bhī guzre masal-e-ḳhusrav-e-daurāñ chaliye
imtihāñ jab bhī ho manzūr jigar-dāroñ kā
mahfil-e-yār meñ ham-rāh-e-raqībāñ chaliye