Faiz Ahmad Faiz

wo buton ne Dale hain waswase ki dilon se KHauf-e-KHuda gaya

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
vo butoñ ne Daale haiñ vasvase ki diloñ se ḳhauf-e-ḳhudā gayā
vo paḌī haiñ roz qayāmateñ ki ḳhayāl-e-roz-e-jazā gayā
jo nafas thā ḳhār-e-gulū banā jo uThe the haath lahū hue
vo nashāt-e-āh-e-sahr ga.ī vo vaqār-e-dast-e-duā gayā
na vo rañg fasl-e-bahār kā na ravish vo abr-e-bahār kī
jis adā se yaar the āshnā vo mizāj-e-bād-e-sabā gayā
jo talab pe ahd-e-vafā kiyā to vo ābrū-e-vafā ga.ī
sar-e-ām jab hue mudda.ī to savāb-e-sidq-o-safā gayā
abhī bādbān ko tah rakho abhī muztarib hai ruḳh-e-havā
kisī rāste meñ hai muntazir vo sukūñ jo aa ke chalā gayā
Top Urdushayar.com