Faiz Ahmad Faiz

gulon mein rang bhare baad-e-nau-bahaar chale

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
guloñ meñ rañg bhare bād-e-nau-bahār chale
chale bhī aao ki gulshan kā kārobār chale
qafas udaas hai yaaro sabā se kuchh to kaho
kahīñ to bahr-e-ḳhudā aaj zikr-e-yār chale
kabhī to sub.h tire kunj-e-lab se ho āġhāz
kabhī to shab sar-e-kākul se mushk-bār chale
baḌā hai dard kā rishta ye dil ġharīb sahī
tumhāre naam pe ā.eñge ġham-gusār chale
jo ham pe guzrī so guzrī magar shab-e-hijrāñ
hamāre ashk tirī āqibat sañvār chale
huzūr-e-yār huī daftar-e-junūñ kī talab
girah meñ le ke garebāñ kā taar taar chale
maqām 'faiz' koī raah meñ jachā hī nahīñ
jo kū-e-yār se nikle to sū-e-dār chale
Top Urdushayar.com