Faiz Ahmad Faiz

hamin se apni nawa ham-kalam hoti rahi

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
hamīñ se apnī navā ham-kalām hotī rahī
ye teġh apne lahū meñ niyām hotī rahī
muqābil-e-saf-e-a.adā jise kiyā āġhāz
vo jañg apne hī dil meñ tamām hotī rahī
koī masīhā na īfā-e-ahd ko pahuñchā
bahut talāsh pas-e-qatl-e-ām hotī rahī
ye barhaman kā karam vo atā-e-shaiḳh-e-haram
kabhī hayāt kabhī mai harām hotī rahī
jo kuchh bhī ban na paḌā 'faiz' luT ke yāroñ se
to rahzanoñ se duā-o-salām hotī rahī
Top Urdushayar.com