Naz Qadri

zawal-e-azmat-e-insan ka marsiya hun main

Naz Qadri

Muzaffarpur, Bihar, India

1940-2019
zavāl-e-azmat-e-insāñ kā marsiya huuñ maiñ
sar-e-kashīda pe dastār-e-be-anā huuñ maiñ
sag-e-zamāna se aage nikal gayā huuñ maiñ
ab apne sāmne tanhā khaḌā huā huuñ maiñ
mire vajūd meñ dar aayā kaisā sannāTā
ki reg-zār meñ gum-gashta ik sadā huuñ maiñ
Dubo na de kahīñ mujh ko bhī tishnagī kā safar
ki reg reg sarāboñ kā silsila huuñ maiñ
idhar se ho ke koī mehrbāñ havā guzre
dayār-e-habs meñ sadiyoñ se ghuT rahā huuñ maiñ
jise milī hai sazā harf-e-haq sunāne kī
salīb-e-lab pe vo Thahrī huī sadā huuñ maiñ
khaḌā huā huuñ harīfoñ meñ sar jhukā.e hue
ki apne aap se ab ke bahut judā huuñ maiñ
na koī aks-e-munavvar na manzar-e-ḳhush-rañg
ye kaise ḳhvāb ke bistar pe so rahā huuñ maiñ
ajiib āñdhī hai ye jism-o-jāñ kī āñdhī bhī
mujhe sambhāl bikharne se Dar rahā huuñ maiñ
kabhī na chhū sakī bāb-e-asar duā merī
ajiib qahr-e-musalsal meñ mubtalā huuñ maiñ
mujhe barasne kī taufīq de mire allāh
ki abr ban ke zamāne pe chhā gayā huuñ maiñ
na chhū sakī mujhe hirs-o-havas kī parchhā.īñ
ḳhudā kā shukr qanā.at se āshnā huuñ maiñ
rafūgarān-e-hunar 'nāz' be-namak the magar
phir apne zaḳhm ko shādāb dekhtā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com