phir ā.īna-e-ālam shāyad ki nikhar jaa.e
phir apnī nazar shāyad tā-hadd-e-nazar jaa.e
sahrā pe lage pahre aur qufl paḌe ban par
ab shahr-badar ho kar dīvāna kidhar jaa.e
ḳhāk-e-rah-e-jānāñ par kuchh ḳhuuñ thā girau apnā
is fasl meñ mumkin hai ye qarz utar jaa.e
dekh aa.eñ chalo ham bhī jis bazm meñ sunte haiñ
jo ḳhanda-ba-lab aa.e vo ḳhāk-basar jaa.e
yā ḳhauf se dar-guzreñ yā jaañ se guzar jaa.eñ
marnā hai ki jiinā hai ik baat Thahar jaa.e