kisī gumāñ pe tavaqqo.a ziyāda rakhte haiñ
phir aaj kū-e-butāñ kā irāda rakhte haiñ
bahār aa.egī jab aa.egī ye shart nahīñ
ki tishna-kām raheñ garche baada rakhte haiñ
tirī nazar kā gila kyā jo hai gila dil kā
to ham se hai ki tamannā ziyāda rakhte haiñ
nahīñ sharāb se rañgīñ to ġharq-e-ḳhūñ haiñ ki ham
ḳhayāl-e-vaz-e-qamīs-o-libāda rakhte haiñ
ġham-e-jahāñ ho ġham-e-yār ho ki tīr-e-sitam
jo aa.e aa.e ki ham dil kushāda rakhte haiñ
javāb-e-vā.iz-chābuk-zabāñ meñ 'faiz' hameñ
yahī bahut haiñ jo do harf-e-sāda rakhte haiñ