go sab ko baham sāġhar o baada to nahīñ thā
ye shahr udaas itnā ziyāda to nahīñ thā
galiyoñ meñ phirā karte the do chaar divāne
har shaḳhs kā sad chaak labāda to nahīñ thā
manzil ko na pahchāne rah-e-ishq kā raahī
nādāñ hī sahī aisā bhī saada to nahīñ thā
thak kar yūñhī pal bhar ke liye aañkh lagī thī
so kar hī na uTTheñ ye irāda to nahīñ thā
vaa.iz se rah-o-rasm rahī rind se sohbat
farq in meñ koī itnā ziyāda to nahīñ thā