Faiz Ahmad Faiz

darbar mein ab satwat-e-shahi ki alamat

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
darbār meñ ab satvat-e-shāhī kī alāmat
darbāñ kā asā hai ki musannif kā qalam hai
āvāra hai phir koh-e-nidā par jo bashārat
tamhīd-e-masarrat hai ki tūl-e-shab-e-ġham hai
jis dhajjī ko galiyoñ meñ liye phirte haiñ tiflāñ
ye merā garebāñ hai ki lashkar kā alam hai
jis nuur se hai shahr kī dīvār daraḳhshāñ
ye ḳhūn-e-shahīdāñ hai ki zar-ḳhāna-e-jam hai
halqa kiye baiThe raho ik sham.a ko yaaro
kuchh raushnī baaqī to hai har-chand ki kam hai
Top Urdushayar.com