yuuñ sajā chāñd ki jhalkā tire andāz kā rañg
yuuñ fazā mahkī ki badlā mire hamrāz kā rañg
sāya-e-chashm meñ hairāñ ruḳh-e-raushan kā jamāl
surḳhī-e-lab meñ pareshāñ tirī āvāz kā rañg
be-piye huuñ ki agar lutf karo āḳhir-e-shab
shīsha-e-mai meñ Dhale sub.h ke āġhāz kā rañg
chañg o nai rañg pe the apne lahū ke dam se
dil ne lai badlī to maddham huā har saaz kā rañg
ik suḳhan aur ki phir rañg-e-takallum terā
harf-e-sāda ko ināyat kare e.ajāz kā rañg