qarz-e-nigāh-e-yār adā kar chuke haiñ ham
sab kuchh nisār-e-rāh-e-vafā kar chuke haiñ ham
kuchh imtihān-e-dast-e-jafā kar chuke haiñ ham
kuchh un kī dastaras kā patā kar chuke haiñ ham
ab ehtiyāt kī koī sūrat nahīñ rahī
qātil se rasm-o-rāh sivā kar chuke haiñ ham
dekheñ hai kaun kaun zarūrat nahīñ rahī
kū-e-sitam meñ sab ko ḳhafā kar chuke haiñ ham
ab apnā iḳhtiyār hai chāhe jahāñ chaleñ
rahbar se apnī raah judā kar chuke haiñ ham
un kī nazar meñ kyā kareñ phīkā hai ab bhī rañg
jitnā lahū thā sarf-e-qabā kar chuke haiñ ham
kuchh apne dil kī ḳhū kā bhī shukrāna chāhiye
sau baar un kī ḳhū kā gilā kar chuke haiñ ham