hairāñ hai jabīñ aaj kidhar sajda ravā hai
sar par haiñ ḳhudāvand sar-e-arsh ḳhudā hai
kab tak ise sīñchoge tamannā-e-samar meñ
ye sabr kā paudā to na phūlā na phalā hai
miltā hai ḳhirāj us ko tirī nān-e-javīñ se
har bādshah-e-vaqt tire dar kā gadā hai
har ek uqūbat se hai talḳhī meñ savā-tar
vo rañg jo nā-karda gunāhoñ kī sazā hai
ehsān liye kitne masīhā-nafasoñ ke
kyā kījiye dil kā na jalā hai na bujhā hai