Faiz Ahmad Faiz

kuchh pahle in aankhon aage kya kya na nazara guzre tha

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984

kuchh pahle in āñkhoñ aage kyā kyā na nazārā guzre thā

kyā raushan ho jaatī thī galī jab yaar hamārā guzre thā

the kitne achchhe log ki jin ko apne ġham se fursat thī

sab pūchheñ the ahvāl jo koī dard maarā guzre thā

ab ke ḳhizāñ aisī Thahrī vo saare zamāne bhuul ga.e

jab mausam-e-gul har phere meñ aa aa ke dobārā guzre thā

thī yāroñ bohtāt to ham aġhyār se bhī bezār na the

jab mil baiThe to dushman bhī saath gavārā guzre thā

ab to haath sujhā.ī na deve lekin ab se pahle to

aañkh uThte ek nazar meñ aalam saarā guzre thā

Top Urdushayar.com