na gañvāo nāvak-e-nīm-kash dil-e-reza-reza gañvā diyā
jo bache haiñ sañg sameT lo tan-e-dāġh-dāġh luTā diyā
mire chāra-gar ko naved ho saf-e-dushmanāñ ko ḳhabar karo
jo vo qarz rakhte the jaan par vo hisāb aaj chukā diyā
karo kaj jabīñ pe sar-e-kafan mire qātiloñ ko gumāñ na ho
ki ġhurūr-e-ishq kā bāñkpan pas-e-marg ham ne bhulā diyā
udhar ek harf ki kushtanī yahāñ laakh uzr thā guftanī
jo kahā to sun ke uḌā diyā jo likhā to paḌh ke miTā diyā
jo ruke to koh-e-girāñ the ham jo chale to jaañ se guzar ga.e
rah-e-yār ham ne qadam qadam tujhe yādgār banā diyā