Faiz Ahmad Faiz

garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
garmī-e-shauq-e-nazārā kā asar to dekho
gul khile jaate haiñ vo sāya-e-tar to dekho
aise nādāñ bhī na the jaañ se guzarne vaale
nāseho pand-garo rāhguzar to dekho
vo to vo hai tumheñ ho jā.egī ulfat mujh se
ik nazar tum mire mahbūb-e-nazar to dekho
vo jo ab chaak garebāñ bhī nahīñ karte haiñ
dekhne vaalo kabhī un kā jigar to dekho
dāman-e-dard ko gulzār banā rakkhā hai
aao ik din dil-e-pur-ḳhūñ kā hunar to dekho
sub.h kī tarah jhamaktā hai shab-e-ġham kā ufuq
'faiz' tābindagi-e-dīda-e-tar to dekho
Top Urdushayar.com