yaad kā phir koī darvāza khulā āḳhir-e-shab
dil meñ bikhrī koī ḳhushbu-e-qabā āḳhir-e-shab
sub.h phūTī to vo pahlū se uThā āḳhir-e-shab
vo jo ik umr se aayā na gayā āḳhir-e-shab
chāñd se maañd sitāroñ ne kahā āḳhir-e-shab
kaun kartā hai vafā ahd-e-vafā āḳhir-e-shab
lams-e-jānāna liye mastī-e-paimāna liye
hamd-e-bārī ko uThe dast-e-duā āḳhir-e-shab
ghar jo vīrāñ thā sar-e-shām vo kaise kaise
furqat-e-yār ne ābād kiyā āḳhir-e-shab
jis adā se koī aayā thā kabhī avval-e-shab
''usī andāz se chal bād-e-sabā āḳhir-e-shab''