girānī-e-shab-e-hijrāñ do-chand kyā karte
ilāj-e-dard tire dardmand kyā karte
vahīñ lagī hai jo nāzuk maqām the dil ke
ye farq dast-e-adū ke gazand kyā karte
jagah jagah pe the nāseh to kū-ba-kū dilbar
inheñ pasand unheñ nā-pasand kyā karte
hamīñ ne rok liyā panja-e-junūñ varna
hameñ asiir ye kotah-kamand kyā karte
jinheñ ḳhabar thī ki shart-e-navā-garī kyā hai
vo ḳhush-navā gila-e-qaid-o-band kyā karte
gulū-e-ishq ko dār-o-rasan pahuñch na sake
to lauT aa.e tire sar-buland kyā karte