aaj yuuñ mauj-dar-mauj ġham tham gayā is tarah ġham-zadoñ ko qarār aa gayā
jaise ḳhush-bū-e-zulf-e-bahār aa ga.ī jaise paiġhām-e-dīdār-e-yār aa gayā
jis kī dīd-o-talab vahm samjhe the ham rū-ba-rū phir sar-e-rahguzār aa gayā
sub.h-e-fardā ko phir dil tarasne lagā umr-e-rafta tirā e'tibār aa gayā
rut badalne lagī rañg-e-dil dekhnā rañg-e-gulshan se ab haal khultā nahīñ
zaḳhm chhalkā koī yā koī gul khilā ashk umDe ki abr-e-bahār aa gayā
ḳhūn-e-ushshāq se jaam bharne lage dil sulagne lage daaġh jalne lage
mahfil-e-dard phir rañg par aa ga.ī phir shab-e-ārzū par nikhār aa gayā
sarfaroshī ke andāz badle ga.e dāvat-e-qatl par maqtal-e-shahr meñ
Daal kar koī gardan meñ tauq aa gayā laad kar koī kāñdhe pe daar aa gayā
'faiz' kyā jāniye yaar kis aas par muntazir haiñ ki lā.egā koī ḳhabar
mai-kashoñ par huā mohtasib mehrbāñ dil-figāroñ pe qātil ko pyaar aa gayā