kuchh din se intizār-e-savāl-e-digar meñ hai
vo muzmahil hayā jo kisī kī nazar meñ hai
sīkhī yahīñ mire dil-e-kāfir ne bandagī
rabb-e-karīm hai tū tirī rahguzar meñ hai
maazī meñ jo mazā mirī shām-o-sahar meñ thā
ab vo faqat tasavvur-e-shām-o-sahar meñ hai
kyā jaane kis ko kis se hai ab daad kī talab
vo ġham jo mere dil meñ hai terī nazar meñ hai