kis shahr na shohra huā nādānī-e-dil kā
kis par na khulā raaz pareshānī-e-dil kā
aao kareñ mahfil pe zar-e-zaḳhm numāyāñ
charchā hai bahut be-sar-o-sāmānī-e-dil kā
dekh aa.eñ chalo kū-e-nigārāñ kā ḳharāba
shāyad koī mahram mile vīrānī-e-dil kā
pūchho to udhar tīr-fagan kaun hai yaaro
sauñpā thā jise kaam nigahbānī-e-dil kā
dekho to kidhar aaj ruḳh-e-bād-e-sabā hai
kis rah se payām aayā hai zindānī-e-dil kā
utre the kabhī 'faiz' vo ā.īna-e-dil meñ
aalam hai vahī aaj bhī hairānī-e-dil kā