ye kis ḳhalish ne phir is dil meñ āshiyāna kiyā
phir aaj kis ne suḳhan ham se ġhā.ebāna kiyā
ġham-e-jahāñ ho ruḳh-e-yār ho ki dast-e-adū
sulūk jis se kiyā ham ne āshiqāna kiyā
the ḳhāk-e-rāh bhī ham log qahr-e-tūfāñ bhī
sahā to kyā na sahā aur kiyā to kyā na kiyā
ḳhushā ki aaj har ik mudda.ī ke lab par hai
vo raaz jis ne hameñ rāñda-e-zamāna kiyā
vo hīla-gar jo vafā-jū bhī hai jafā-ḳhū bhī
kiyā bhī 'faiz' to kis but se dostāna kiyā